सारे जहाँ से अच्छा हिन्दोसिताँ हमारा-Iqbal
सारे जहाँ से अच्छा हिन्दोसिताँ हमारा
सारे जहाँ से अच्छा हिन्दोसिताँ हमारा
हम बुलबुलें हैं इसकी यह गुलसिताँ हमारा
ग़ुर्बत में हों अगर हम, रहता है दिल वतन में
समझो वहीं हमें भी दिल हो जहाँ हमारा
परबत वह सबसे ऊँचा, हम्साया आसमाँ का
वह संतरी हमारा, वह पासबाँ हमारा
गोदी में खेलती हैं इसकी हज़ारों नदियाँ
गुल्शन है जिनके दम से रश्क-ए-जनाँ हमारा
ऐ आब-ए-रूद-ए-गंगा! वह दिन हैं याद तुझको?
उतरा तिरे किनारे जब कारवाँ हमारा
मज़्हब नहीं सिखाता आपस में बैर रखना
हिन्दी हैं हम, वतन है हिन्दोसिताँ हमारा
यूनान-ओ-मिस्र-ओ-रूमा सब मिट गए जहाँ से
अब तक मगर है बाक़ी नाम-व-निशाँ हमारा
कुछ बात है कि हस्ती मिटती नहीं हमारी
सदियों रहा है दुश्मन दौर-ए-ज़माँ हमारा
इक़्बाल! कोई महरम अपना नहीं जहाँ में
मालूम क्या किसी को दर्द-ए-निहाँ हमारा!
English translation
Sāre jahāṉ se acchā, Hindositāṉ hamārā
Ham bulbuleṉ haiṉ is kī, yih gulsitāṉ hamārā
G̱ẖurbat meṉ hoṉ agar ham, rahtā hai dil wat̤an meṉ
Samjho wuhīṉ hameṉ bhī dil ho jahāṉ hamārā
Parbat wuh sab se ūṉcā, hamsāyah āsmāṉ kā
Wuh santarī hamārā, wuh pāsbāṉ hamārā
Godī meṉ kheltī haiṉ is kī hazāroṉ nadiyāṉ
Guls̱ẖan hai jin ke dam se ras̱ẖk-i janāṉ hamārā
Ai āb-i rūd-i Gangā! wuh din haiṉ yād tujh ko?
Utrā tire kināre jab kārwāṉ hamārā
Maẕhab nahīṉ sikhātā āpas meṉ bair rakhnā
Hindī haiṉ ham, wat̤an hai Hindositāṉ hamārā
Yūnān o-Miṣr o-Rūmā, sab miṭ ga'e jahāṉ se
Ab tak magar hai bāqī, nām o-nis̱ẖaṉ hamārā
Kuch bāt hai kih hastī, miṭtī nahīṉ hamārī
Ṣadiyoṉ rahā hai dus̱ẖman daur-i zamāṉ hamārā
Iqbāl! ko'ī maḥram apnā nahīṉ jahāṉ meṉ
Maʿlūm kyā kisī ko dard-i nihāṉ hamārā!
By- Allama Iqbal
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.